Tuesday, October 13, 2020

Pakistan mein tiktok ban hogai reason kia hai ban krny ka

 

 Pakistan mein tiktok ban hogai reason kia hai ban krny ka



Pakistan mein tiktok ko 9oct se ban ker dia gya hai tiktok ko paskitan mein kiyu ban kia gya kia wajah bani..?

Jesa ke apko pta hoga ke video sharing app tiktok Pakistan mein maqboliat hasil kr chuki thi har banda tiktok ka shoqeen tha beshaq wo tiktok bnata tha ya dekhta tha mgr har banda titok ka shoqeen tha

Mgr achhanak se 9oct ko tiktok ko ban kia gya akhir iski asal wajah kia bani kiyu ise ban kia gya 


PTA


pta ( Pakistan teli communication) ka kahena hai ke hum ne tiktok se kaha tha ke wo apnay platforms se aise mowad ko hata day jo yaha ghairqanooni hai hai ya phir ghair ikhalaqi hai mgr Tiktok ki traf se humari baat pr kisi kisam ki nazar sani nhi ki gai na he tiktok traf se humen aisa koi amal dekhna ko mila jis mein tiktok humen yaqeen dila sky aur is ke ilawa humen beshumar shikayat bhi mosool hoi hai tiktok ke hawalay se jis ke peshraft hum ne tiktok ko ghair faal krnay ka order jari kr dia aur is wqt tiktok muqamal tor pr Pakistan mein band hai 

Mgr Pta ki traf se abhi aisa kuch nhi kaha gya ke isko arzi band kia gya hai ya phir mustaqil band kia gya hai 

Tiktokers reaction after ban tiktok 


Jese hi tiktok ban hoi to tiktokers ke rad amal samnay any lag gaye aur tiktokers mein gham aur ghusa paya gya hai aur unki traf se bayan bhi anay lag gaye hein social media ke alg plate form per YouTube instagram facebook twitter per tiktokers ke rad amal any lag gaye 

Jannat mirza

Jannat mirza reaction tiktok ban



Sab se pehlay jannat mirza ki traf se pta ke twitter account per tweet ke replay mein kaha ke sir khuda ka khouf kren humaray mustaqil ka sawal hai jitni jaldi hoskta hai tiktok ko bahal kren jo log aisi wesi video bnatay hein un ke account band ker den mgr humara kia qasoor hai 

Jesa ke jannat mirza ne 2 din pehlay 10M followers ko hit kia tha aur ye Pakistan ki pehli wo tiktoker thi jisnay sab se ziada fan following hasil ki thi 

Is ke ilawa jannat mirza ne 24 news mein bhi interview dytay howa kaha ke Pta ne humaray sath achha nhi kia humara kia qasoor hai humen tiktok wapas khol den 

Phoollu 



Phoollu tiktok star ki traf se bhi rad amal aya phoollu ne apnay YouTube channel per bataya ke mein ghar se door kaam gya howa tha wahan jab mein tiktok khola ye check krnay ke liye ke jo abhi video dali hai us per kitnay like aye hein mgr tiktok khulnay ka naam nhi ly rhai thi aur mein pareshan hogya aur mein smja ke lgta hai mera internet package khtam hogya hai mein foran ghar gya pese liye aur phir shehr chala gya aur wahan package krwaya phir bhi tiktok nhi chali phir mere doston ke muje whatsapp pr massage anay lag gaye ke tiktok ban hogai hai aur mein smja shahid wo mazaq kr rhay hein mein ne foran se tv chalaya to wahan bhi ye news chal rhi thi ke tiktok ban kr di gai hai Pakistan mein

Is ke ilawa phoollu ka ye bhi kahna tha ke agr gov ne tiktok ko ban kia hai to ismen humari koi bhalai hogi humari bhalai ke liye hi kia hoga muje koi shikwa nhi hai apni gov se han mgr dil zarur udas hai aur mein ne khana bhi nhi khaya aur muje raat ko neend bhi nhi ayegi 

Phoollu ek mazdoori dar shakhs hai aur ghareeb ghar se uska taaluq hai aur wo do baar dubai ka chakr bhi lga aya hai wo bhi tiktok ki badolat phoollu ke 6M se plus followers hai tiktok per

Usman Molvie 



Usman Molvie ek kariyana ki shop chalata tha aur baad mein ye tiktok per aya aur isnay bhot jaldi tiktok per grow kia 

Usman molvie ko tiktok per famous molvie ke naam se bhi jana jata hai 

Aur usman ne bhi apnay YouTube channel per btaya ke tiktok band honay pr dil afsrda hai mgr hum to phir bhi baray tiktoker hein humara kia hum to is ke ilawa aur social network per bhi kaam kr ke pese kama kr apna rozgar chala sktay hein kiyu ke log humen jantay hein mgr ismen nuqsan chhotay tiktokers ka hai jo new hi tiktok per aye thay aur apna features bna rhay thay unka kia hoga 

Usman molvie ke bhi tiktok per 6M se plus followers hein

Kanwal aftab 





Kanwal aftab ka kahena tha ke hum tiktok ki videos hi shoot krnay gaye howay thay wahan jab hum ne tiktok kholi to khul nhi rahi thi pehlay to hum smjay net package khtm hai phir doston ke whatsapp aye ke tiktok ko ban kr dia gya hai

Is ke ilawa kanwal aftb ka ye bhi kahena tha agr tiktok ko ban krna tha pehlay warning dytay ya phir bta dytay mgr ye to achhanak pta chala tiktok ban hogai

Kanwal aftab pakistan mein dosray number per shohrat yafta tiktokers mein mani jati hai aur fan following ki baat kren to ye dosry number per hai jis ke 9.2M fan following hai tiktok per is ke ilawa Kanwal aftab ka apna YouTube channel bhi hai jiska naam gup shup hai aur is ke ilawa kanwal aftab urdu point YouTube channel per bhi kam karti hai urdu point per kanwal aftab new interview dytay howay kaha ke tiktok band honay per humen bahot dukh howa hai mein manti hun tiktok per aisa mowad bhi hai mgr us mowad ko hataya jaye ya phir unko block kia jaye mgr aisa to nhi hota ke tiktok ko ban kia jaye phir uska ye bhi kahena tha ke agr mein ghr per nokar rakhti hun to mere ghr mein jo chor hoga mein usko kam se nikal dongi aisa to nhi hai ke mein saray noker ko nikal dongi is ke elawa uska ye bhi kahen tha ke un logon ko itni takleef nhi hogi tiktok band honay per jo new aye thay mehnat bhi nhi ki ek video viral hogai aur wo shohrat hasil ki hum se poocho hum ek video mein kitna time lgatay hein baar us video ko dekhtay hein phir ja ker publish krtay hein 

Is ke ilawa kanwal aftb ka ye bhi kahena tha agr tiktok ko ban krna tha pehlay warning dytay ya phir bta dytay mgr ye to achhanak pta chala tiktok ban hogai


Nadeem nani wala 



Nadeem Mubarak jisko tiktok per nadeem nani wala se jana jata hai aur isko iphone bantnay wala bhi kaha jata hai kiyu ke iphone bant'ta hai is ke fan following ki baat kren to is ke bhi 6M se plus followers hai

Nadeem nani walay ka kahena hai ke tiktok ko ban kr ke achha nhi kia is tiktok ki wajah se pta nhi kitno ghron ka choolah chalta tha kitnay berozgar logon ko kam mila yahan pr kuch log yahan shohrat ke liye aye thay aur kuch log yahan rozgar kr rhay thay is ke ilawa usnai awam se bhi appeal ki hai ke jo log tiktokers se piar krtay thay wo unko dosray platforms per bhi jayen unkay dosray social accounts bhi follow kren ta ke wo apki wajah se rozgar ker sken 


People reaction 


Agr hum baat kren awam ke reaction ki to jese pta ne tweet kr ke bataya ke hum ne tiktok ko ban kia hai to awam ke massage ana shuru hogaye ke bahot achha kam kia hai ab ye khulni nhi chahiye aur jese hi tiktok ban hoi hai to ghar walon mein bhi khushi ki lehri agai hai hr banda khush hai tiktok ko ban kr ke siwaye tiktokers ke 
Previous Post
Next Post

post written by:

0 Comments:

Please do not enter spam link cooment box