Tuesday, October 13, 2020

How To Grow YouTube Channel Youtube Seo In Urdu Hindi

 

 How To Grow YouTube Channel Youtube Seo In Urdu Hindi



Aj hum seekhngay ke YouTube per grow kese kren Kese 1000 Subscriber aur 4000 hours Watch time ly sktay hein..? 

Sub se pehlay In baton ka ap ne khayal rkhna hai phir hi ap YouTube per kamiyab ho sktay hein wrna nhi 

YouTube channel bnana mushkil kam nhi hai video bhi upload krna mushkil kam nhi hai mgr YouTube ko smjna aur YouTube ke tariqa kar per amal krna mushkil kam hai 

YouTube per video viral ya grow krnay ke liye apko ye kaam krna zaruri hai pehlay To YouTube channel ki Seo phir YouTube videos ki Seo aj hum ye mukmal seekhngay kese krna hai sub kuch 

channel Seo kia hai 
Aur video Seo kia hai 

1 Channel Seo

Sub se pehlay apko channel Seo Krna Lazmi Hai ta ke apka Channel Search mein aye agr ap ye nhi krtay to apka channel logon tk pohnchna Mushkil hai Logon tk apka channel nhi pohnchay ga 

Ye article un logon ke liye ziada faida mand hoga jinoh ne new hi channel bnaya hai Ya bnanay ka soch rhay hein 

Ye article un logon ke liye bhi faida mand sabit hoga jo apna channel grow krna chahatay hein jin ke channel per achha Response nhi ah rha ye meri zati zindgi ke 3 saal ka tajruba hai jo mein ne seekha hai aur kia hai jis se muje faida mila hai 

Jinka pehlay channel bna howa hai unko new channel bnanay ki zarurat nhi hai mgr phir bhi bnana chahatay hein to YouTube per videos kafi milengi wo dekh kr channel bna sktay hein 

Sub se pehlay to channel ka naam aisa rakhen jo search mein jaldi aye dosron se mukhtlif ho ya ap apni marzi ka rkhna chahatay hein to bhi koi masla nhi rkh skty hein 

Doston channel ki 2 tran se Seo hoti hai ye yad rahay 

1= About 
2 = Tags 

1=About 

channel ke about mein sab se pehlay apko apnay channel ka naam likhna hota hai aur thora apnay baray mein taruf krwana hai us ke baad ap ne apnay channel ka taruf krwana hai kuch is tran se 


Welcome to top trending News we provide authentic trending news of Pakistan and worldwide in urdu and hindi 


Ye mein ne news channel ki misal di hai ap ne apnay channel ke hawalay se aise likhna hai us ke baad ap ne apnay channel ke topics ke hawalay se kuch tags ka istmal krna hai us ke baad mazeed apnay channel ke hawalay se taruf phir apnay social links aur akhir mein kuch hash tags ka istmal krna hai 


2=channel tags 

Channel tags mein sub se pehlay apko apnay channel ka naam likhna hai phir aise tags ka istmal krna hai jo sub se Low Competation bhi hon mgr kafi ziada search mein bhi hon ta ke ap ke channel ko search mein laya ja skay  yad rahy tags dytay wqt aise hi tags denay hein jo ap ke channel ke topics sw miltay jultay hon 

Misal ke tor per aise 

Top trending news, news off Pakistan, trending news of Pakistan, latest new, daily news, live news, documentary in urdu, urdu news 

Video Seo

Doston Video Seo 2 Tran ki Hoti hai 

1-On
page seo

2-off page seo

1=on page seo 

On page seo ke liye ap un cheezon ka istmal krtay hein jo ke YouTube ke platform per apko options diye gaye hein title discretion tags etc 

Title - title dytay wqt ap ne aise keyword ka istmal krna hai jo ke apki video se milta jhulta ho aur achhay keyword ka istmal krna hai ta ke video ki rasai logon tk pohnchna mein rasai yaqeeni bnai ja sky title likhtay wqt apko 3 cheezen mind mein rakhni chahiye jis se jo ke apki video ko sab se alag bnati hai aur YouTube bhi apki video logon tak pohnchnay mein madad krta hai 

1- Pipe ( | ) 

Is lakeer ko pipe kaha jata hai jo ke ek keyword ko dosray keyword se alag krny ke liye istmal krtay hein  jo ke kafi zaruri smja jata hai iska istmal apni har video mein yaqeeni bnanay 

2- breakts []

In breakts ka apni video mein lazmi istmal kia kren is apki video ka title kafi mukhtlif hojata hai aur achhay andaz me nazar ata hai 


3- Keyword

Pehla keyword ap ne wo istmal krna hai jo ap ke topics ko target krta ho 
Dosra apnay title mein achhay tags ka istmal kren 

For example 

Pakistan latest news about gold price [2020]
| gold price for 2020 | what is the price of gold in Pakistan 

Ap ne keyword search krnay ke liye aise tools ka istmal krna hai jo search volume bhi btata ho wrna ye free wala tool bhi istmal kr sktay hein Keyword tool

Discraption - discraption mein jo hum sab se bari ghalti krtay wo hum apni discraption ko keyword se bhar dytay hein jo YouTube ki policy ke khilaf hai jis se humara channel bhi suspend ho skta hai 

Discraption ki pehli line mein ap ko apna target keyword likhna hota hai us ke baad waqfa full stop dyna chahiye jo ke behtreen tareeqa hai subscraption dynay ka mazeed ap do se teen keyword ka istmal kren us ke baad apna pera geraf complete kren yaad rhay pehra graf 2 ya 3 line se bara na ho us ke baad apna title copy kr ke likh den us ke baad apni videos ka link den social media ke links den us ke baad apnay channel ka naam den phir 2 se 3 hash tags use kren ta ke log apki video ko search mein dekh ap ke channel per ayen end mein apni video ke subscraption mein disclaimer ka istmal kren 

For example 

Hi in this video we will talk about gold price in Pakistan 2020 i hope you will share 2020 gold price 2020 price on gold 2020 news about gold price 2020 

Title 

Pakistan latest news about gold price [2020]
| gold price for 2020 | what is the price of gold in Pakistan 

YouTube video link

Social links 

And hash tags like #Goldprice #goldprice2020 #Pakistangoldprice2020
#newsgoldprice

Top search keyword 

Gold price in Pakistan 
Pakistan gold price 
New gold price Pakistan 
Etc etc

3- Tags

Tags mein sab se pehlay ap ne apnay channel ka naam dyna hai phir aise keyword ka istmal krna hai jo low competition how mgr search volume ziada ho ta ke apki video search baar mein ajaye agr apko tags dyna nhi atay to ap kisi keyword tool ka use kren ta ke apko ideo hojaye kese keyword search krna hai 

Off page Seo

Kafi log isko nazar andaz krtay hein mgr apko pta nhi ke off page seo se bhi video search baar mein ati hai video rank kr jati hai off page seo mtlb seo hi hai jo ke ap apni video ko file krtay hein for example ap video ko render ya export kia to uski property mein jo title tags ata hai use of page seo kahtay hein 

Jese hi apki video tayar hojati hai aur export krnay ke baad apni video per ja kr right click kren phir property per click kren ab ap ne title per aisa keyword use krna hai jo apki topics se musalik ho phir detail per click ker ke mazeed apni Tafseel dal skty hein jis mein yahan apko lazmi tor per title dyna hoga jis ke baad ap apni file ka subject dengy jis mein ap apna keyword use krengy aur us ke baad apni file ko five star rating den us ke baad neechay tags ka option hoga wahan ap apnay tags dengy aur us ke mazeed neechay comment ka option hoga wahan bhi ap tags dengy mgr yaad rhay yahan tags denay ka tariqa YouTube per tags dynay se Alag hai Yahan ap Coma nhi lga sktay yahan ap semicolon ka istmal kren gy !

For example aise 

Gold price of Pakistan; price of gold in Pakistan; 

Aise 

Note: of page seo tb ki jati hai jab apki file tayar hojati hai aur on page seo tab hogti hai jab ap YouTube per video upload krtay hein 

Yad rahy of page seo ap apnay thumbnail ke sath bhi krna ta ke apki video viral ho Youtube per 
Of page seo se YouTube ke browser features mein video anay ke ziada chance hotay hein google mein search mein apki vidoe ati hai

Previous Post
First

post written by:

0 Comments:

Please do not enter spam link cooment box